Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya, Adila, Sajida Hura Batool e Azara (x2)
Surah e Qadr ka yeh nara hai Ap kya janeey Fatima kya hai (x2)
jis ko Mukhtar e amr kehthay hain Jis ki ratoon ko qadr kehthay hain Subho ko jis ki Fajar kehthay hain Shaam ko jis ki asr kehthay hain Har zamanay pay jis ka qabza hain Ap kya janey Fatima kya hai (x2)
Qadr jis ko sada qaza nay kaha Syeda jis ko Murtaza nay kaha Apni maa jis ko Mustafa nay kaha Kanzay Maghfi jisay khuda nay kaha Jis ki chokhat pay kaba jhukta hain Ap kya janey Fatima kya hai (x2)
Jis kay dar say ho hal ata ko ata Inaman ki aman ka hai gosha Kul kafa jis ko khud gawaha bana Fateha kar rahi hai jis ki sana Pura Quran hee qasida hai Ap kya janey Fatima kya hai (x2)
Jis ki chadar ko asmaan kahiye Apnay bachon ka sahiban kahiye Isko alhumd ka nishaan kahiye Hushr kid hoop main amaan kahiye Kulay imaan ka jo musala hai Ap kya janey Fatima kya hai (x2)
Jiska baba Rasool aashiq e rab Jiskay baitay Hassan Hussain laqab Yeh jahan main hain sab say acha nasab Jiska shohar Ali ameer e arab Surah e noor jiska shajrah hai Ap kya janey Fatima kya hai (x2)
Yeh gharaana sakhi mila humko Isi ghar say Nabi mila humko Har wasi, har wali mila humko Aik wali kya, Ali mila humko Isi ghar say khuda bhi paya hai Ap kya janey Fatima kya hai (x2)
Jiska aik baita hai Imam e Hassan Aik baita Hussain Shah e Zaman Ai, Abbas mislay qila shikan Jis nay seekha Ali say jang e ka fan Jis ka dariya pay ab bhi qabza hai Ap kya janey Fatima kya hai (x2)
Ghazi bola mizaaj keher main hai Mera hum pala koun sheher main hai Pyaas ka sud e baab neher main hai Neher yeh Syeda ke neher main hai Meher yeh khud khuda nay rakha hai Ap kya janey Fatima kya hai (x2)
Dar pay jo sar jhuka nahi karta Deen o Majid wo paa nahi sakta Har koyi dark o paa nahi sakta Aira ghaira to aa nahi sakta Malakul mawt aa kay rukta hai Ap kya janey Fatima kya hai (x2)
0 Comments